दिल से रोये मगर होंठो से मुस्कुरा बेठे,...2017

Sapne se ek din bahar aayegi woh..
Teri neend chain sab chura jayegi woh..
Sambhaalkar rakh apna dil yee dost
Warna yeh bhi kabhi apna bana jayegi woh…

2.apne pyaar ka silsila
bas yun hi chalne do..
khulkar bayan na kar apni chahat ka
isse apne dil mein hi rehne do…

3.hum bhi aapse bepanaah mohabbat kartey hain
dil mein aapki ibbaadat kartey hain..
ikraar-e-mohabbat kab na kiya humne
hum tho sanam aapke samajhne ka intezaar kartey hain

7.Is Husn Ka Jab Se Deedar Kiya Hai,
Bas Pyar Kiya Pyar Kiya
Hai, Ye Jhoot Hai Ki Tumne Hame
Pyar Kiya Hai, Hamne
Tumhe Julfon Me Girftaar Kiya Hai.

8.Sukun Milta Hai Jab Unse Baat Hoti Hai,
Hazar Raaton Mein Wo Ek Raat Hoti Hai,
Nigah Uthakar Jab Dekhte Hain Wo Meri Taraf,
Mere Liye Wohi Pal Poori Kaaynat Hoti Hai!

9.Ye Yaad Hai Tumhari Ya Yaadon Mein Tum Ho,
Ye Khwab Hain Tumhare Ya Khwabon Mein Tum Ho,
Hum Nahi Jaante Humein Bas Itna Bata Do,
Hum Jaan Hain Tumhari Ya Hamari Jaan Tum Ho!

0.Unki Aankho Ki Gehrai Ka Didaar
Kar Na Paye, Dil Ne Ki
Koshis Bahut Par Pyar Kar
Na Paye, Kya Kasis Thi
Unki Aankho Me, Unhone Di
Izazt Aur Hum Izhaar Kar Na Paye.

11.Dil Ko Aata Hai Jab Bhi Khayal Unka,
Tasveer Se Puchhte Hain Haal
Unka, Wo Kabhi Humse Pucha
Karti Thi Judaai Kya Hai, Aaj
Samjh Mein Aaya Hai Sawal Unka.

12. Pyar Ke To Sirf Fasaane Hote He,
Is Duniya Mein Hum Jaise Bhi
Deewane Hote He, Unki Mohabbat
Ko Hum Bhala Apni Taqdeer Kaise
Banayein, Humari Taqdeer Mein To
Sirf Tute Huye Aashiyaane Hote He

13.hum bhi aapse bepanaah mohabbat kartey hain
dil mein aapki ibbaadat kartey hain..
ikraar-e-mohabbat kab na kiya humne
hum tho sanam aapke samajhne ka intezaar kartey hain..

14.ishq kab tha aasaan
har koi judaai ka ghum jaroor sehta hain..
par aise hi dil mein ye dost
khuda-e-mohabbat rehta hain..

15.bhool jaon tujhe yeh mumkin nahi
marna bhi hoga mushkil…
tere pyaar ki ada hain niraali
har baat hain khaatil…

18. Wo Chehra Hum Har Pal Yaad Karte
Hain, Zinda To Hain Bus Zindgi
Talash Karte Hain Koi Kyu Bhul
Jaata Hai Apne Banakar, Hum
Khud Me Wo Kami Talash Karte Hai.

19. Dariya Wafaon Ka Kabhi Rukta Nahin,
Pyar Main Insan Kabhi Jukta
Nahin, Kamosh Ho Jate Hain Unki
Khushi Ke Liye, Aur Wo Samjhte
Hain Humara Dil Kabhi Dukta Nahin..

20. Mana Aapki Nazar Me Aapka Pyar
Hum Nahi, Kaise Kahe Aapke
Talabgar Hum Nahi, Khud Ko Jala
Ke Khaak Kar Dala Mita Diya, Lo
Ab Aapki Raah Me Diwar Hum Nahi.

हम रूठे तो किसके भरोसे,
कौन आएगा हमें मनाने के लिए,
हो सकता है, तरस आ भी जाए आपको..
पर दिल कहाँ से लाये.. आप से रूठ जाने के लिए!

Hum Ruthe To Kiske Bharose,
Kaun Hai Jo Aayega Hume Manane Ke Liye,
Ho Sakta Hai Taras Aa Bhi Jaye Aapko..
Par Dil Kaha Se Laau.. Aapse Ruth Jane K Liye.

दिल से रोये मगर होंठो से मुस्कुरा बेठे,
यूँ ही हम किसी से वफ़ा निभा बेठे,
वो हमे एक लम्हा न दे पाए अपने प्यार का,
और हम उनके लिये जिंदगी लुटा बेठे!

Dil se roye magar honto se muskura beithe,
yunhi hum kisi se wafa nibha beithe,
wo hame ek lamha na de paye apne pyar ka,
aur hum unke liye apni zindagi gawa beithe.

गुजारिश हमारी वह मान न सके,
मज़बूरी हमारी वह जान न सके,
कहते हैं मरने के बाद भी याद रखेंगे,
जीते जी जो हमें पहचान न सके.

Gujarish hamari woh maan na sake,
Majburi hamari woh jaan na sake,
Kehte hain marne ke baad bhi yaad rakhenge,
Jeete ji jo hame pehchan na sake.

खुश नसीब होते हैं बादल,
जो दूर रहकर भी ज़मीन पर बरसते हैं,
और एक बदनसीब हम हैं,
जो एक ही दुनिया में रहकर भी.. मिलने को तरसते हैं.

Khush nasib hote hain badal,
Jo dur rehkar bhi zameen par baraste hain,
Aur ek badnasib hum hain,
Jo ek hi duniya mei rehkar bhi.. Milne ko taraste hain.

हमसे पूछो क्या होता है पल पल बिताना,
बहुत मुश्किल होता है दिल को समझाना,
यार ज़िन्दगी तोह बीत जायेगी,
बस मुश्किल होता है कुछ लोगो को भूल पाना.

Humse pucho kya hota hai pal pal bitana,
Bahut mushkil hota hai dil ko samjana,
Yaar zindagi toh beet jayegi,
Bus mushkil hota hai kuch logo ko bhul pana.

प्यार क्या होता है हम नहीं जानते,
ज़िन्दगी को हम अपना नहीं मानते,
गम इतने मील के एहसास नहीं होता,
कोई हमें प्यार करे अब विश्वास नहीं होता.

Pyar kya hota hai hum nahi jante,
Zindagi ko hum apna nahi mante,
Gum itne mile ke ehsaas nahi hota,
Koi hume pyar kare ab vishwas nahi hota.

गम में हसने वालो को रुलाया नहीं जाता,
लहरों को पानी से मिलाय नहीं जाता,
होने वाले खुद ही अपने हो जाते हैं,
किसी को कहकर अपना बनाया नहीं जाता.

Gum mei hasne walo ko rulaya nahi jata,
Lehron ko pani se milaya nahi jata,
Hone wale khud hi apne ho jate hain,
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.

कशिश तोह बहुत है मेरे प्यार मैं,
लेकिन कोई है पत्थर दिल जो पिघलाता नहीं,
अगर मिले खुद तो माँगूंगी उसको,
सुना है ख़ुदा मरने से पहले मिलते नहीं.

Kashish toh bahut hai mere pyar mai,
Lekin koi hai pathar dil jo pigalta nahi,
Agar mile khuda to mangungi usko,
Suna hai khuda marne se pehle milte nahi.

सुकून अपने दिलका मैंने खो दिया,
खुद को तन्हाई के समंदर मे डुबो दिया,
जो थी मेरे कभी मुस्कराने की वजह,
आज उसकी कमी ने मेरी पलकों को भिगो दिया.

Sukun apne dilka maine kho diya,
Khud ko tanhai ke samandar mai dubo diya,
Jo thi mere kabhi muskrane ki wajah,
Aaj uski kami ne meri palko ko bhigo diya.

यूँ पलके बिछा कर तेरा इंतज़ार करते है,
यह वो गुनाह है जो हम बार बार करते है,
जलकर हसरत की राह पर चिराग,
हम सुबह और शाम तेरे मिलने का इंतज़ार करते है.

Yun palke bicha kar tera intezar karte hai,
Yeh wo gunah hai jo hum baar baar karte hai,
Jalakar hasrat ki rah par chirag,
Hum subah aur sham tere milne ka intezar karte hai.

No comments:

Post a Comment